Sunday, October 2, 2011

Mushkil hai apna mail priye version 2

Tum Facebook si popular ho, mai orkut jaisa outdated hun
Tum Chadta hua stock market ho, mai share bhi under rated hun
Tum Twitter ki updated si queue, mai DD channel sa khaali hun
Tum Ra 1 ki Kareena ho, mai to wanted ka mavali hu

Tum Iphone 5 si sundar, mai Nokia 3310 ka pathar hun
tum 16 ki jawani jaisi, mai budhape ka ekhattar hun
Tum english jaisi global ho, mai sanskrit jaisa purana hun
Tum Grammy winning melody ho, mai altaf raja ka gaana hun

Tum Fresh, frolic and fun loving ho, mai tumhare liye to Stale priye
Mushkil hai apna mel priye, ye pyaar nahi hai khel priye

Tum silky night suit jaisi, mai patte wala pajama hun
Tum Shahrukh khan ki acting si, mai fardeen khan ka drama hun
Tum nirmal pawan ganga si, mai jalta hua patanga hun
Tum kisi church ka ho silence, mai godhra ka danga hun

Tum Anna hazare ka support, mai congress ki manmaani hun
Tum BiggBoss ki controversy, mai desh ki pareshani hun
Tum Atal Bihari ka bhashan, mai Shivsena ka drama hun
Tum IPL ka ho revenue, mai to 32 rupaye ka panama hun

Mai IncomeTax ki chori hun, Tum 2G scam ki tarah grand ho
mai gaddhe me bhara paani, tum mumbai ka Bandstand ho
Tum Airline train si lavish ho, mai local train ki majboori hun
Tum Email ki tarah pahuchti ho, mai anterdeshi ki doori hun

Tum ho Emirates ki Airline, mai Bihar wali rail priye
Mushkil hai apna mel priye, ye pyaar nahi hai khel priye

Tum IPAD si user friendly, mai desktop sa heavy hun
Tum Apple ki nayi innovation, mai mainframe par savvy hun
Tum Cuisine ho 5 star restrau ka, mai mixture wala khana hun
Tum chanchal hirni si chapal, mai local bus ka aana hun.

Mai deepak ki kaalikh jaisa, tum usi deepak ki baati ho..
Par man me mere tum rehti ho, Tum meri jeevan sathi ho..